Monday 18 March 2013

Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyo'n Na Garq-e-Dariya


tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm k mujh par na hua tha

chora mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us k barabar na hua tha

taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
ankhon main hai wo qatra k gauhar na hua tha

jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka alam
main motaqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha

main sada dil azurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha

dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha

jari thi asad dag-e-jigar se mere tahsil
atashqada jagir-e-samandar na hua tha
 
 
 
 
Nazar Lage Na Kahin Uske Dast-O-Baazuu Ko
Ye Log Kyun Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain
 
 
 
 
Tangiye dil ka gila kya yeh woh kafir dil hai
K agar tang na hota to pareshan hota
 
 
 
 
Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho
 
 
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
Daad Deta Hai Mere Zakhm-e Jigar ki Waah Waah
Yaad Karta Hai Mujhe Dekhe Hai Wo Jis Jaa Namak
 
 
Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.

Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim!
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.
 
 
 
Ghair phirta hai liye yoon tere khat ko k agar
Koee poche k yeh kya hai? to chupaaye na bane

Ishaq per zoor nahi, hai ye wo aatish "Ghalib"
K laagaye na lage aur bujhaaye na bane
 
 
 
Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyo'n Na Garq-e-Dariya
Naa Kabhi Janaza Uthta, Naa Kahi'n Mazar Hota
 
 
 
 
 
 
 
   
   
    
              

Mirza Ghalib The Legend Of Urdu Poetry

Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyo'n Na Garq-e-Dariya
Naa Kabhi Janaza Uthta, Naa Kahi'n Mazar Hota




Meer Ke Shair Ka Ahwaal Kahun Kia Ghalib,
Jis Ka Deewan Kam Az Gulshan e Kashmir Nahi !




Koi Veerani Si Veerani Hai,
Desht (jungle) Ko Dekh Ke Gher Yaad Aaya.

Maine Majnu pe Larekpen Main, ' Asad'
Sang (stone) Uthaya Tha ki Sir Yaad Aaya.




Ghair phirta hai liye yoon tere khat ko k agar
Koee poche k yeh kya hai? to chupaaye na bane

Ishaq per zoor nahi, hai ye wo aatish "Ghalib"
K laagaye na lage aur bujhaaye na bane





Ghair phirta hai liye yoon tere khat ko k agar
Koee poche k yeh kya hai? to chupaaye na bane

Ishaq per zoor nahi, hai ye wo aatish "Ghalib"
K laagaye na lage aur bujhaaye na bane



   
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujhko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota !

Hua Jab Gham Se Yu'n Behis To Gham Kya Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zaano Par Dhara Hota !

Hui Muddat Ke 'Ghalib' Mar Gaya Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke 'Yu'n Hota To Kya Hota' !!
 

Khudaya! Jazba-e-Dil Ki Magar Taasir Ulti Hai.
Ke Jitna Khenchta Hu'n Aur Khinchta Jaye Hai Mujhse



har aik bat pe kehtay ho tm k tu kya .hai
tm he kaho k ye andaz -e- Guftagu kya hai




Eshq Muj ko nahein, wehshat he sahi
meri wehshat teri shohrat he sahi




eh wo majlis nahein khilwat he sahi
hum bhi dushman to nahein hain apnay




Katah kijiye na tahaluq hum se
kuch nahein to adawat he sahi



Ishq Par zor nhe he ye wo Aatish Ghalib..!!
K lagye na Lage, or Bujhaye na Bane..!!




Hum Ko Maloom he Jannat ki haqiqat lekin..!!
Dil k Khush rakhne ko Ghalib ye khayal acha he..!!
 



Ishq ne Ghalib nakmma kar Diya ..!!
Warna Hum bhi aadmi the kaam k..!!



Howi Muddat K Ghalib Mar Gaya Par Yaad aata he..!!
Wo har ik baat pe kehna K u Hota to Kia hota..!!
 



Hoga Koi Aesa Bhi ja Ghalib ko na Jane ..!!
Shair to wo acha he Pe Badnaam Bohot he..!!




Phe usi Bewafa pe marte Hain
Phr wohi zindagi hamari he..!!




Taa Phir Na Intizaar Main Nind Aai Umr Bhar..!!
Aane Kaa Ahd Kar Gae Aae Jo Khwaab Main...!!
 





ye na thi hamari qismat ki visaal-ay-yaar hota,
agar aur jeetay rehtay yahi intezaar hota.

tayray wa'day par jiye ham, to ye jaan, jhoot jana,
ki khushi se mar na jatay agar aytbaar hota.

koi mayray dil se poochey, tayray teer-ay-neem kash ko,
ye khalish kahan se hoti, jo jigar ke paar hota.

gham agar cheh jaan gusal hay, pay kahan bachayn ki dil hay,
gham-ay-ishq gar na hota, gham-ay-rozgaar hota.

kahoon kissay mayn ki kya hay! shab-ay-gham buri bala hay,
mujhey kya bura tha marna, agar ayk baar hota.

huay mar kay ham jo ruswa, huay kyun na gharq-ay-darya,
na kabhi janazah uthta, na kaheen mazaar hota.

osay kon dekh sakta ki, yagana hay wo yakta,
jo dui ki bu bhi hoti to kaheen do chaar hota.

ye masael-ay-tasauwuf ye tayra bayaan ghalib
tujhay ham wali samajhtay, jo na badah khwaar hota.
 



Aata Hei Daagh-e-Hasrat-e-Dil Ka Shumar Yaad..!!

Mujhko Mere Gunah Ka Hisab Aye Khuda Naa Maang..!!








hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle

2. Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle

[ KHooN = blood, chashm = eye, tar = wet, dam_ba_dam = continously ]

3. nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

[ KHuld = heaven, be_aabaru = disgrace, koocha = street ]

4. bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-KHam ka pech-o-KHam nikle

[ daraazee = length/delay, qaamat = stature, turra = an ornamental
tassel worn in the turban, pech-o-KHam = curls in the
hair/complexity ]

5. magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle

6. huee is daur meiN mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle

[ mansoob = association, baada_aashaamee = association with
drinking ]

7. huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle

[ tavaqqo = expectation, KHastagee = weakness, daad = justice,
KHasta = broken/sick/injured, teGH = sword, sitam = cruelity ]

8. mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle

9. zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle

10. KHuda ke waaste parda na kaabe se uThaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaaN bhee wohee kaafir sanam nikle

11. kahaaN maiKHaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle

[ waaiz = preacher/advisor ]
 
 
Dard ho dil main to dawa kiGiay
Dil hi jab dard ho to kia kiGiay

Hum ko faryad karni aati hay
Aap suntay nahi to kia kiGiay

Inn buton ko khuda say kia matlub
Toba Toba, Khua khuda, kiGiay

Ranjh uThanay say bhi khushi hogi
Pehlay dil dard aashna kiGiay

Arz e shokhi, nishat e aalum hay
Hussan ko our khush'numa kiGiay

Dushmani ho chukii ba qadr e wafa
Ab haq e dosti aada kiGiay

Mout aati nahi kahain Ghalib~
Kab tak afssos zeest ka kiGiay