Monday 18 March 2013

Mirza Ghalib

Aah Ko Chahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jiita Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak..





Rone Se Aur Ishq Mei'n Bebak Ho Ga'e
Dhoye Ga'e Ham Aise, Ke Bas Pak Ho Ga'e..




Koi Veerani Sii Veerani Hai,
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aaya.




Partav-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem
Mei'n Bhee Hu'n Ik Inaayat Ki Nazar Hone Tak.






Bak Raha Hu'n Junun Mei'n Kya Kya Kuch.
Kuch Naa Samjhe Khuda Kare Koii..
 



Kam Jante The Ham Bhi Gham-e-Ishq Ko Par Ab
Dekha To Kam Hue Pa Gham-e-Rozgaar Tha..




Ishq Par Zor Nahi'n, Hai Ye Woh Aatish 'Ghalib'..
Ki Lagaaye Na Lage Aur Bujhaaye Na Bane..
 



Ye Kahan Ki Dosti Hai Ke Bane Hai'n Dost Naseh
Koi Charasaz Hota, Koii Ghamgusar Hotaa
 



Ishq Se Tabiyat Ne Zeest Ka Mazaa Paya,
Dard Kii Dawa Paaii Dard Be Dawa Paya,





Jaan Di, Di Hui Usi Kii Thi..
Haq To Yu'h Hai Ki Haq Ada Na Hua 




Jala Hai Jism Jaha'n Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuraidate Ho Jo Ab Rakh Justuju Kya Hai..




Ishrat-e-Qatlgah-e-Ahal-e-Tamanna Mat Puch
Eid-e-Nazzara Hai Shamshir Ka Uriyan Hona..
 



Bana Kar Faqeeron Ha Hum Bhaes 'Ghalib'
Tamaasha-e Ahl-e-Karam Dekhte Hai'n....
 



Kis Se Mehroomi-e-Qismat Kiii Shikayat Kijiye
Ham Ne Chaaha Tha Ke Mar Jayen, So Wo Bhi Naa Hua..
 




Tere Waade Par Jiiye Ham To Ye Jaan Jhuth Jana
Ke Khushi Se Mar Naa Jaate Agar Aitbar Hotaa.



wo firaq aur wo wisal kahan
wo shab-o-roz-o-mah-o-sal kahan

fursat-e-karobar-e-shauq kise
zauq-e-nazara-e-jamal kahan

dil to dil wo dimag bhi na raha
shor-e-sauda-e-khat-o-khal kahan

thi wo ik shakhs k tasawur se
ab wo ranai-e-khayal kahan

aisa asan nahi lahu rona
dil mein taqat jigar mein hal kahan

hamse chuta qomarkhana-e-ishq
wan jo jayen girah mein mal kahan

fikr-e-dunya mein sar khpata hun
main kahan aur ye wabal kahan

muzmahil ho gaye quwe 'Ghalib'
wo anasir mein aitadal kahan





              

No comments:

Post a Comment