Tuesday 12 February 2013

Mere Dard Ki Jo Dawa Kare Koi Aisa ShakHs Huwa Kare

Mere Dard Ki Jo Dawa Kare Koi Aisa ShakHs Huwa Kare
Wo jo Bepanaah Udaas Ho, Magar Hijr Ka Na Gila Kare
Meri Chahtein Meri Qurbatein Jisse Yaad Aain Qadam Qadam
To Wo Sab Se Chup Ke Libaas e Shab Mein, LipaT Ke Aaho Bka Kare
Barhe Uska Gham To Qaraar Kho Dey, Wo Mere Gam Ke Khaiyaal Se
Uthein Hath Apne Liye To Phir Bhi Mere Lyie Hi Dua Kare
Yeh QiSaS Ajeeb o Ghareeb Hain,yeh MohabbatoN Ka Naseeb Hain
Mujhay Kaisse Khud Se Juda Kare, Usay Kuch Batao Keh Keya Kare
Kabhi Taiy Kare Younhi Soch Soch Mein Wo Firaaq Ke Faasle
Mere Peeche Aaa Ke Dabbey Dabbey, Meri Aankhein Moond Hansa Kare
Barha Shor Hai Mere Shehar Mein, Kissi Ajnabi Ke Nuzool Ka
Wo Meri Hi Jaan Na Ho Kahin, Koi Kuch To Jaa Ke Patta Kare
Yeh To Mere Dil Hi Ka Aks Hai, MaiN Nahin Hoon Per Meri Aaarzoo
Ko Junoon Hai Mujhay Yeh Bana Dey To Phir Jo Chaahe Qazza Kare
Bhalla Kesse Apne Hi Aks Ko Main Rafiq e Jaan Bana SakooN
Koi Aur Ho To Bata To De, Koi Hai Kahin To Sadaa Kare
Ussey Dhoondti HaiN Galli Galli, Meri Khilwaton Ki Udaasiaan
Wo Miley To Bass Yeh Kahoon Keh Aaa, Mera MAULAA TERA Bhala Kare

6 comments:

  1. Best poetry of urdu

    ReplyDelete
  2. thanks for liking this post miss ghazal

    ReplyDelete
  3. amazing poetry i ve ever heard..

    ReplyDelete
  4. ya because its written from the depth of heart and soul by A Great Man of God.

    ReplyDelete
  5. g g bilkul ye ak bohat hi dillon k ander tkjane wali nazam hai ,, ye klame Tahir ki nazam hia
    Laeeq +92 3476243858
    https://www.facebook.com/LaeeqOfficials

    ReplyDelete
  6. https://www.youtube.com/watch?v=z-0dXlA9Rw8

    ReplyDelete