Bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki
Bahadur Shah Zafar Poetry
Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,Sozish-e-dil ko aye ashko, Kya khaak bhujana seekhey ho…
(Sozish-e-dil:Heartbreak)(Ashko:Tears)
…
Dil jaan lete hain dilbar
Bahadur Shah Zafar Poetry
khulta nahin hai hal kisi par kahe bagairpar dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair
main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair
kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair
bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair
taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair
No comments:
Post a Comment