Monday, 18 March 2013

Best of Mirza Ghalib

Zakhm Ne Daad Na Dii Tangi-e-Dil Kii, Yaa Rab
Teer Bhi Seena-e-Bismal Se PurAfshan Nikla




Koi Mere Dil Se Poochhe, Tere Teer-e-Neem kash Ko.
Yeh Khalish Kahaa'n Se Hoti, Jo Jigar Ke Paar Hota.




Kahu'n Kis Se Mei Kii Kya Hai,Shab-e-Gham Buri Bala Hai..
Mujhe Kya Bura Tha Marna,Agar Ek Baar Hota....
 





Ham Nay Mana Ke Taghaful Naa Karo Gey Lekin..
Khaak Ho Jayenge Ham Tumko Khabar Honay Tak



Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Wisal-e-Yaar Hota
Agar Aur Jiite Rahte Yahi Intzaar Hota..
 




Hue Muddat Ke 'Ghalib' Marr Gaya Par Yaad Aata Hai.
Woh Har Ik Baat Pe Kehna Ke Yu'n Hota To Kya Hota..
 


Jaan Tum Per Nisaar Karta hoon...
Main Naheen Jaanta Dua Kya Hai..



Koi Veerani Si Veerani Hai,
Desht Ko Dekh Ke Gher Yaad Aaya.

Maine Majnu pe Larekpen Main, ' Asad'
Sang Uthaya Tha ki Sir Yaad Aaya.

Desht---Jungle,Sang--Stone
 



Mujh Se Mat Keh Tu Hamein Kehta Tha Apni Zindagee
Zindagee Se Bhi Mera Jee Inn Dinon Be-zaar Hai.




Bigri hai bohat baat, banaaye nahin banti
Ab Ghar ko baghair Aag Lagaaye nahin bant



Apni Hasti Hi say Ho Jo Kuch Ho
Aa gahi Gar Nahin Ghaflat Hi Sahi




Ik Garam Aah Kii To Hazaro'n Ke Ghar Jale,
Rakhte Hai'n Ishq Mei'n Ye Asar Hum Jigar Jale...



bekhudi be sabab nahi ghalib
kuch tu hai jis ki parda dari hai
 




ishq mujhko naheeN, wehshat hee sahee
meree wehshat, teree shohrat hee sahee

qata'a keeje na ta'alluq ham se
kuchch naheeN hai to adaavat hee sahee

mere hone meiN hai kya ruswaaee
ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee

ham bhee dushman to naheeN haiN apne
GHair ko tujh se mohabbat hee sahee

apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho
aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee

umr harchand ke hai barq-e-KHiraam
dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee

ham koee tarq-e-wafa karte haiN
na sahee ishq, museebat hee sahee

kuchch to de 'ei falak-e-na_insaaf
aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee

ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
be_niyaazee teree ` aadat hee sahe

yaar se cheDa chalee jaay, 'Asad'
gar nahee wasl to hasrat hee sahee




Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua
Udne se paishtar bhi mera rung zard tha

Taleef nuskhaai wafa kar raha thamein
Majmuai khayal abhi fard fard tha

Dil ta jigar ki sahile daryae khon hai ab
Is rahguzar mein jalwai gul aage gird tha

Jati hai koi kash-makash andohe ishq ki
Dil bhi agar gaya, to wahi dil ka dard tha

Ahbab charah sazie wahshat na kar sake
Zindan mein bhi khayal byaban naward tha

Ye lash-e-be kafan Asad khastah jaan ki hai
Haq magfirat kare ! ajab Azad merd tha




Ibn-e-Mari'am Hua Kare Koi..
Mere Dukh Kii Dawa Kare Koi..




Pochte hain wo ke Ghalib kon hai,
Koi batlao ke hum batlayein kia
, !! !!





          

No comments:

Post a Comment