Tuesday, 12 February 2013

kalam e tahir

jo dard sisakty huy hurfon main dhala hai
shayad k ye aaghosh e judai main pala hai

gham de k kise fikre mariz e shub e gham hai
ye kon hai jo dar main ras ghol raha hai

ye kis ne mare dard ko jine ki talab di
dil kis k liy umer e khizar mang raha hai
 

hur roz naey fikar hain,hur shab hain naey gham
yaarab ye mera dil hai k mehman sara hai

hain kis k badan des main paband e salasil
perdes main ik rooh giriftar e bala hai

kia tum ko khabar hai rah e mola k asiro!
tum se mujhy ik risht e jaan sub se siwa hai

aa jaty ho krty ho mulaqaat shub o roz
ye silsila e rubt e baham subh o masa hai

ay tangi e zindan k satay huy mehman
wa chashm hai,dil baz,dr e sina khula hai

tum ne meri jalwat main nay rang bhare hain
tum ne meri tunhaion main sath dia hai

tum chandni raton main mare paas rahe ho
tum se he meri naqrai subhon main zia hai

kis mujhy tum yaad nahin ay magar aaj
kia roz e qiyamat hai!keh ik hushr bapa hai

yadon k musafir ho tamunaon k paiker
bhar dety ho dil- phir bhi wohe aik khala hai

sine se lagane ki husrat nahin mitti
pehlu main bithane ki taraap hud se siwa hai

yarab ye gada tere he dur ka hai sawali
jo dan mila teri he chokhat se mila hai

gum gashta asiran e rahy mola ki khatir
mudat se faqir aik dua mang raha hai

jis rah main wo khoy gay us rah pe gada aik
kashkol liy chalta hai lub pe ye sada hai

kherat kr ab in ki rehai mare aaqa
kashkol main bhar de jo mare dil main bhara hai

MAIN TUJH SE NA MANGUN TO NA MANGUN GA KISI SE
MAIN TERA HUN TU MARA KHUDA MARA KHUDA HAI

No comments:

Post a Comment