Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla..
Mirza Ghalib Poetry
Khulta kisi pay kya mery dil ka muamla,Shairon k intekhab nay ruswa kia mujhy..!!
…
Toote hain sheesha dil haaye dil itne
Mirza Ghalib Poetry
Toote hain sheesha dil haaye dil itne ke ehl-e-dard,Rakhte hain paaon khaak par sau baar dekh kar..
…
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar..
Mirza Ghalib Poetry
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
…
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Mirza Ghalib Poetry
Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jiseAisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise
Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise
Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise
Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise
Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise
…
Usey khuda bana daala
Mirza Ghalib Poetry
Hum Ne Mohbaton Ky Nashe Me Aa Kr Use Khuda Bana Dala,Hosh Tab Aaya Jab Us Ne Kaha Ky Khuda Kisi ek Ka Nahi Hota…
…
Tu wo zaalim
Mirza Ghalib Poetry
Tu wo zaalim hai Jo Dil mn reh kr b mera na ban Saka “Ghalib”Aur Dil wo kafir Jo mujh mn reh kr b tera hogaya…
…
Shehr e Dil
Mirza Ghalib Poetry
Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .
…
vo aaye ghar me
Mirza Ghalib Poetry
ye jo ham hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhate hai.nkabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko dekhate hai.n
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii kudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hai.n
…
ye na thee hamaaree qismat
Mirza Ghalib Poetry
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hotaagar aur jeete rehte yahee intezaar hota
tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ?eitabaar hota
…
ishq ne Ghalib nikammaa kar diyaa
Mirza Ghalib Poetry
Gair lei.n mehfil mei.n bose jaam keham rahe.n yu.n tashna-alab paigam ke
Khat likhe.nge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hai.n tumhaare naam ke
ishq ne ?Ghalib? nikammaa kar diyaa
varnaa ham bhi aadmi the kaam ke
…
dil ko beqaraaree hai
Mirza Ghalib Poetry
fir kuchh is dil ko beqaraaree haiseena zoya-e-zaKHm-e-kaaree hai
Fir hue haiN gawaah-e-ishq talab
ashq_baaree ka hukm_zaaree hai
be_KHudee be_sabab naheeN ?GHalib?
kuchch to hai jiskee pardaadaaree hai?.
…
Ek baat pe kehte ho tum ke
Mirza Ghalib Poetry
har ek baat pe kehte ho tum ke ?too kya hai? ?tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?
yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?
chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?
jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?
ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?
piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata
wagarna shehar meiN ?GHalib? kee aabroo kya hai ?
…
Har baat par kehte ho tum
Mirza Ghalib Poetry
Har baat par kehte ho tum ke tu kya haiTumhi batao yeh andaz-e-guftgu kya hai
ragon mai daudane ke ham nahi kayal
jo aankh hi se na tapka woh lahu kya hai
Nukta chii hai gam e dil,ke sunaya na bane
kya baat bane wahan,jahan baat banye na bane?.
ishq par zor nahi hai yeh woh attish galib
jo lagaye na lage bhujhaye na bane?
Na tha main to khuda tha,
kuch na hota to khuda hota?
mitaya mujh ko hone ne,
na hota main to kya hota
Kahu kis se ki kya kiya hai
shabe gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marna
gar ek baar hota
Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
huee muddat ke ?GHalib? mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?
…
Na Tha kucH to Khuda tha
Mirza Ghalib Poetry
Na Tha kucH to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hotadubooYa mujhKo hoNi ne, na hota maiN to kya hota
hua jub Gam se Yun beHis, to Gum kya sar ke katNe ka
gar juda na hota tan sE, to zannon pur dhara hota
huI muddat ki Ghalib mar gaya, puR yaaD Aata hai
woh har ek baat pe kahena, ki yooN hota to kyA hota
Reply With Quote
…
Hathoan ki lakiroan pay
Mirza Ghalib Poetry
Hathoan ki lakiroan pay mat ja ai GalibNaseeb un k bi hote hain jin k hath nehen hote
No comments:
Post a Comment