Best Ashaar by Ubbaid Ullah Aleem (my choice)
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chup Rahoon tu Azaab Aata Hai
Bolta Hoon KharaabHota hoon
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Kaya hein yeah loag apnay shajar aap kaat kar
Detay hein phir duhaaye keh saya karay koyee
Jo tera bakhat hai nahi khulti hai uss ki aankh
Laakh asmaan sayroshni laya karay koyee
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
kitna rafoo kar lo gai dil ko, kitna see loo gai
aysay jiyeh tu yaar humarya kitna jee loo gai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
uth gaya ghabra kay aur phir roo para bay ikhtiyaar
mein nay daikha jab watan apna kafan pehlay howay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
haye uss admi ki tunhai
jis ka dunia mein ik khuda na howa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
do zamanoon mein musalsal hai humari zindagi
aik zamaa khawab ka hai dosra tabeer ka
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
reh gaya maqtool ki shaan e shahadat daikh kar
seena e shamsheer kay andar hee dam shamsheer ka
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
dushman ko khabar nahi keh kaya hein
yeah ashk yeah aah ki sapahain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
aye mere badan khabar hai tujh ko
tujh say mere rooh mutasil hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
har chaoon koi lay gaya utha kar
aab dhoop mein har shehar jal raha hai
aye bhai ajeeb hai yeah duniya
kiss aag say tu behal raha hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
iss ehad mein karay na koi baat mir ki
kam hoo gai hai lafaz mein taqat zameer ki
soda na kar keh lafaz mein taqat hai bay shumar
hay char din ki baat ameer o safeer ki
tu sahib e sukhan hai tu khalwat pay naz kar
mat ja wahaan jahaan hoo sadarat wazeer ki
aysa bhi kaya yeah nasha e duniya keh admi
faryaad sun na sakay khud apnay zameer ki
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
phir ussay saya e divaar nay uthnay na diya
aa kay ik baar jo baitha tere divaar kay pass
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
jis kay dil tootnay ki battein theen
aaj woh aadmi hee toot gaya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mere watan pay utaratay howay andhairoon ko
jo tum kahoo, mujhay qehar e khuda sa lagta hai
dua karoo ke mein uss kayliyeah dua hoo jaoon
woh aik shakhas jo dil ko dua sa lagta hai
abhi khareed layain duniya kahaan ki mehangi hai
magar zameer ka soda burra sa lagta hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
yeh kaisee bicharnay ki saza hai
aainay mein chehra rakh gaya hai
khursheed misaal shakhas kal shaam
maatti kay subarad kar diya hai
tum mar gai hoosla tumhara
zinda hoonyeh mera hosla hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
bahir ka dhan aata jata asal khazana ghar mein hai
har dhoop mein jo mujhay saya dai woh sacha saya ghar mein hai
pataal kay dukh woh kaya jannain jo satah payhein milnay wallay
hein aik hawala dost mere aur aik hawala ghar mein hai
kaya sawang bharay rooti kay liyeah izaat kay liyeah shuhrat kay liyeah
suno shaam hoi aab ghar ko chaloo koi shakhas akayla ghar mein hai
duniya mein khapaye saal kaiyee akhir mein khulla ehwaal yeahi
woh ghar ka hoo ya bahir ka har dukh ka madawa ghar mein hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
koun see khashti mein baithain tere banday moola
aab jo duniya koyee saylaab utha kar lay aye
haye woh loag gai chand say milnay aur phir
apnay hee tootay howay khawab utha kar lay aye
aysa ziddi tha mera ishq na behla phir bhi
loag sach much kayee mehtaab utha kar lay aye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
agar hoon kachay gharoondoon mein admi abaad
tu aik abar bhi saylaab kay barabar hai
shakasta naoo hoo aur loag bhi shakasta hoon
tu aik lehar bhi gardaab kay barabar hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
kha gaya insaan ko ashoob e maash
aa gai hein shehar bazaroon kay beech
koi uss kafir ko uss lamhay sunay
guftagoo karta hai jab yaroon kay beech
ehal e dil kay darmayaan thai meer tum
aab sukhan hai shubda karoon kay beech
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
awargi pay hum nay bohat din guzar kiya
jab thak gai tu phir issi sehra ko ghar kiya
thi ik zindagi kay barabar woh aik raat
uss raat ko basar kiya aur ta sehar kiya
hum pay tha ik ishq ka saya keh saari umar
apni he roshni mein kiya jo safar kiya
tum loag woh keh choor gai karbala kay beech
hum loag woh ke jin nay tumhein mo'atbar kiya
kuch kam nahi tha pehlay bhi pamaal mera shehar
yeh kis kay paoon nay issay pamaal kiya
kaisee hawa mein nikla tha yeah karwaan e gul
akhir khizaan kay haath laga rukh jidhar kiya
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
kin hathoon ki tameer tha mein
kin qadmoon say pamaal howa
har achi baat pay yaad aya
ik shakhas ajeeb misaal howa
No comments:
Post a Comment