Sunday 10 February 2013

Farhat abbas Shah

Aik qatra malaal bhi boya nahin geya..

Farhat Abbas Shah Poetry

Aik qatra malaal bhi boya nahin geya,
Woh khauf tha ke logon se roya nahin geya,
Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahin geya,
Us raat tu bhi pehle sa apna nahin laga,
Us raat khul ke mujhse bhi roya nahin geya,
Daman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohat,
Larriyon mein aansuyon ko piroya nahin geya,
Alfaaz talkh, baat ka andaaz sard hai,
Pichlaa malaal aaj bhi goya nahin geya,
Ab bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyi,
Ranjish ka daagh theek se dhoya nahin geya..



Humsafri ka bojh uthana parta hai..

Farhat Abbas Shah Poetry

Humsafri ka bojh uthana parta hai,
Dil ko duh ke sath chalana parta hai,
Hum jese awaara dil logon ko bhi,
Koi na koi qaul* nibhana parta hai,
Kabhi kabhi ik dard bhari siskaari se,
Khamoshi ko zakham lagana parta hai,
Sanattey mehfooz rakhe hain seeney mein,
Weeraani ka hath battana parta hai,
Pehle karna parta hai ik jungle saaf,
Uss ke baad ik sheher basaana parta hai,
Roz humain yadon ke ghaur samandar mein,
Raat gaye ik deep jalana parrta hai,
Pardon ka ik khail sajaana parta hai,
Aik uthaana aik giraana parta hai,
Tanhai mein bhi rehna majboori hai,
Logon mein bhi aana jana parta hai..
(qaul;promise)



Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana..

Farhat Abbas Shah Poetry

Udaas shamain, ujarr rastey, kabhi bulayen to laut ana,
Kisi ki ankhon main ratjagon ke azaab ayen to laut ana,
Abhi neyi wadiyon, naye manzron main reh lo magar meri jaan,
Yeh saarey aik aik karke jab tum ko chorr jayen to laut ana,
Naye zamanon ko qurb orrhey, zayeef lamhey, niddhaal yadain,
Tumharey khawbon ke band kamron mein laut ayen to laut ana,
Agar andheron main chorr keer tum ko bhool jayen tumhare sathi,
Aur apni khatir hi apne apne diye jalayen to laut ana,
Meri woh batain to jin pe be’ikhtyaar hanstaa tha khil’khilaa kar,
Bicharney wali meri woh batain kabhi rulaayain to laut ana..



Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Tumhara Pyaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Hisaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Bichartay Waqt Jo Tum Sonp Kar Gaye Thay Mujhe
Wo Intezaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
TU Khud Hee Jaanay Kaheen Door Kho Gaya Hai Magar
Teri Pukaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Jub Bhi Nikla Mere Paon Chhaid Daalay Ga
Jo Khaar Zaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Mein Ab Bhi Girtay Howay Paanion Ki Qaid Mein Hun
Ik Aabshaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai
Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaisay Karay ?
Ke Aitbaar Mere Chaar Suu Abhi Tak Hai



Ye Neend Ki Devi Bhi Ajab Dushman-e-Jaa.n Hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Ye Neend Ki Devi Bhi Ajab Dushman-e-Jaa.n Hai
Aankhon Se Sadaa Door Rahay Raat Gaye Tak
Paspaa Howay Tanhaayi Ki Yalgaar Se Jub Bhi
Hum Sheher Mein Awaarah Phiray Raat Gaye Tak



Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaatay Hain

Farhat Abbas Shah Poetry

Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaatay Hain
Gaye Howun Ki Sadaaon Mein Baith Jaatay Hain
Hum Ird Gird Ke Mausam Se Jub Bhi Ghabraayein
Tere Khayaal Ki Chhaon Mein Baith Jaatay Hain



Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga

Farhat Abbas Shah Poetry

Tujh Se Bichda Tou Kidher Jaonga ?
Mein Tou Be-Chaini Se Mar Jaonga
Mein Tou Aisay Nahi Jaanay Waala
Chaand Doobay Ga Tou Ghar Jaonga
Moutyon Se Bhara Bartan Hun Mein
Toot Jaonga, Bikhar Jaonga
Mein Tou Sehma Howa Sannata Hun
Apni Awaaz Se Dar Jaonga
Mein Agar Koi Samandar Bhi Hun
Ik Tere Dard Se Bhar Jaonga
Waqt Ke Rath Se Mein “Farhat Abbas”
Kaheen Chup Chaap Bikhar Jaonga



Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Saabit hua ke tu bhi zamane ke sath hai,
Saabit hua ke tu bhi hamaara nahin rahaa..



Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam

Farhat Abbas Shah Poetry

Saanson Ki Hararat Se Pighal Jaanay Ka Mausam
Aaya Hai Teri Aanch Mein Jal Jaanay Ka Mausam
Ham Ko Nahi Maaloom Tha Ishq Ka Aaghaaz
Yaadon Mein Kaheen Door Nikal Jaanay Ka Mausam
Lagta Hai Ke Chehre Pe Tere Theher Gaya Hai
Yak Lakht Kayi Rang Badal Jaanay Ka Mausam
Ay Sheher Tasalli Tere Mashkoor Hain Ham
Aaya Hee Nahi Dil Ke Sambhal Jaanay Ka Mausam
Ye Sheher-e-Tamanna Bhi Anokha Hai Ke Is Per
Barsaat Mein Bhee Rehta Hai Thal Jaanay Ka Mausam
Chehre Pe Agarche Hai Mere Subaah Ka Ujaala
Aankhon Mein Magar Shaam Ke Dhal Jaanay Ka Mausam



Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se

Farhat Abbas Shah Poetry

Be-Qaraari Ke Waar Ke Dar Se
Bin Bulaaye Nikal Pade Ghar Se
Ek Tou Kuch Dasht Yaad Aatay Hain
Aur Wo Abar Jo Bohat Barsay
Koi Qaabil Nahi Bharosay Ke
Koi Mehfooz Hee Nahi Shar Se
Loog Tarsay Hain Paanion Ke Lye
Ham Magar Teri Pyaas Ko Tarsay
Aap Ko Yaad Hai Ke Hum Ek Din ?
Lout Aaye Thay Aap Ke Dar Se



Hijr Jaari Hai Aur Jeevan Hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Hijr Jaari Hai Aur Jeevan Hai
Be-Qaraari Hai Aur Jeevan Hai
Khwaahishon Ke Ajeeb Mausam Mein
Aah-o-Zaari Hai Aur Jeevan Hai
Mustaqil Taig Raaigaani Ki
Zarb-Kaari Hai Aur Jeevan Hai
Dard Ne Mautabar Kia Mujh Ko
Burd-Baari Hai Aur Jeevan Hai
Ishq Ke Saamnay Mere Dil Ki
Inkisaari Hai Aur Jeevan Hai
Ek Ek Pal Howa Giraan Mujh Per
Saans Jaari Hai Aur Jeevan Hai
Haalat Ab Apni Ek Muddat Se
Iztaraari Hai Aur Jeevan Hai



Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai

Farhat Abbas Shah Poetry

Kahan Dil Qaid Se Chhoota Howa Hai ?
Abhi Tak Sheher Se Rootha Howa Hai
Hum Kaisay Kahain Is Dil Ko Sacha ?
Hamaaray Saamnay Jhoota Howa Hai
Ksi Ka Kuch Nahi Yahan Per….
Ye Sab Saamaan Loota Howa Hai
Tumhaaray Dil Mein Meri Chaahaton Ka
Koi Tou Beej Sa Phoota Howa Hai
Kisi Ke Naam Lag Jaayein Balaa Se
Ye Dil Phele Se Hee Toota Howa Hai



Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana

Farhat Abbas Shah Poetry

Udas Shaamain,Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Aain Tou Laut Aana
Abhi Nayi Wadiyoon,Naye Manzaroon Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray Ik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Choor Jain Tou Laut Aana
Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lautay Hain
Agar Woh Panchi Kubhi Koi Daastan Sunain Tou Laut Ana
Naye Zamaanon Ka Kurb Orhay Zaeef Lamhay, Nidhaal Yaadain
Tumhaaray Khwaabon Ke Band Kamron Mein Laut Aain Tou Laut Aana
Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bhejta Hoon
Kay Achay Mausam Agar Paharoon Pe Muskurain Tou Laut Aana
Agar Andheron Mein Choor Kar Tum Ko Bhool Jayein Tumharay Sathi
Aur Apni Khatir Hi Apnay Apnay Diye Jalain Tou Laut Aana
Meri Woh Batain TU Jin Pay Hansta Tha Khilkhila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulain Tou Laut Aana…..!



Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho

Farhat Abbas Shah Poetry

Mere Dil Ke Shaam Saweray Ho
“Ik Baar Kaho Tum Mere Ho”
Mujhe Tum Bin Kuch Dikhaayi Na De
Kiun Itnay Ghoor Andheray Ho ?
Mein Panchi Pyaar Ke Deson Ki
Tum Mere Rain Basairay Ho
Mein Maal-o-Manaal Mohabbat Ka
Tum Daaku Chor Lutairay Ho
Kuch Bolo Ya Aazaad Karo
Kiun Khamooshi Se Ghairay Ho ?



Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein

Farhat Abbas Shah Poetry

Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein
Galti Ho Gayi Jawaani Mein
Zindagaani Tou Jaisay Doob Gayi
Hijr Aur Gham Ki Be-Karaani Mein
Jaanay Kia Keh Gaya Hai Ashkon Ko
Aag Si Lag Gayi Hai Paani Mein
Ik Din Dil Hawaas Kho Baitha
Ik Choti Si Naagihaani Mein
Tajziya Hee Nahe Kiya Os Ka
Umer Beeti Hai Khush-Gumaani Mein
Oski Aadat Se Mujhko Lagta Hai
Koi Lazzat Hai Bad-Gumaani Mein
Ik Kashish Si Ajeeb Hoti Hai
Ishq Ki Saltanat Ki Raani Mein
Wo Mujhe Dekh Kar Bohat Khush Hai
Dukh Ke Sooraj Ki Saayebaani Mein
Ik Mohabbat Hai Aur Judai Hai
Umer Ki Mukhtasir Kahani Mein

No comments:

Post a Comment