Sunday 10 February 2013

Qateel Shifai Poetry

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay

Qateel Shifai Poetry

Yeh mojza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe..
Kay sang tujh pe girain aur zakham aye mujhe..
Main ghar se teri tamanna jub pehan k niklun..
Barhana shehr main koe nazar na aye mujhe..
Wo mera dost hai saray jahan ko hai maloom..
Dagha karay wo kisi se to sharm aye mujhe..
Wo mehrbaan hai to iqraar kyu nahi kerta..
Wo bdguman hai to so bar azmaye mujhe..
Main apni zaat main neelam horaha hun QATEEL,
Gham-e-hayaat se keh do k kharid laye mujhe..


Qateel Shifai Poetry

Ho na ho yeh koi sach bolney wala hai Qateel,
Jis ke hathon mein qalam, paon mein zanjeerein hain..

Qateel Shifai Poetry

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,
Zara se lafzz main kitna paighaam likha hai,
Yeh teri shaan ke shayaa’n nahin lekin majboori,
Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,
Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,
Labon ko pankhrri*, zulfon ko mene shaam likha hai,
Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,
Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,
Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,
Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,
Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,
Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai..
(pankhrri;petal)(buut;idol)(pujaari;worshiper)

Qateel Shifai Poetry

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho
So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup Raho
Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke Bagair
Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao, Chup Raho
Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain Mohtasib
Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam Hai Ye
Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham Baithay Howay
Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup Raho
Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha Jaaye Ga
Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup Raho
Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko Ay “Qateel” ?
Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup Raho



Qateel Shifai Poetry

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,
Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,
Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,
Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,
Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,
Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,
Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye..
(mussawar;painter)



Qateel Shifai Poetry

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Bananay Waalay
Ab Na Aayein Ge Palat Kar Kubhi Jaanay Waalay
Kia Milay Ga Tujhe Bikhray Howay Khwaabon Ke Siwa ?
Ay Rait Pe Chaand Ki Tasveer Banaanay Waalay
Sab Ne Pehna Tha Baday Shoq Se Kaghaz Ka Libaas
Jis Qadar Loog Thay Baarish Mein Nahaanay Waalay
Mar Gaye Hum Tou Ye Qutbay Pe Likha Jaye Ga
So Gaye Aap Zamaanay Ko Jagaanay Waalay
Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay ?




Qateel Shifai Poetry

Sab Apni Zaat Ke Karb-o-Balaa Ki Qaid Mein Hain
Aur Ek Hum Ke Jo Ab Tak Wafaa Ki Qaid Mein Hain
Koi Khabar Hai Safar Ki Na Manzilon Ka Pata
Hamain Tou Umer Howi Rehnuma Ki Qaid Mein Hain
Thakay Tou Nazarain Chhurra Laaye Aasmaanon Se
Magar Wo Lab Ke Jo Ab Tak Duaa Ki Qaid Mein Hain
Nazar Howi Hai Ba-Mushkil Sakoot Se Maanoos
Samaa’tain Tou Abhi Tak Sadaa Ki Qaid Mein Hain
Saraab Hain Sabhi Aazaadiaan Fizaaon Ki
Kaheen Parinday Kaheen Par Hawaa Ki Qaid Mein Hain
Jab Apne Jaisi Hee Makhlooq Ke Shikanjay Se
Howay Rihaa Tou Ye Dekha Khuda Ki Qaid Mein Hain

Qateel Shifai Poetry

Guzray Dinon Ki Yaad Barasti Ghata Lagay
Guzrun Jo Os Ki Gali Se Tou Thandi Hawa Lagay
Mehmaan Ban Ke Aaye Agar Kisi Roz Wo Shakhs
Is Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lagay
Mein Is Lye Manaata Nahi Vasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Dua Lagay
Wo Qehat Dosti Ka Parra Hai Ke In Dinon
Jo Muskura Ke Baat Karay Aashna Lagay
Tark-e-Wafaa Ke Baad Ye Oski Adaa “Qateel”
Mujh Ko Sataaye Koi Tou Osko Bura Lagay


Qateel Shifai Poetry

Be’chain umangon ko behlaa ke chale jana,
Hum tum ko na rokain ge bass aa ke chale jana,
Milne jo na aaye tum, thi kaun si majboori,
Jhoota koi afsaana, dohraa ke chale jana,
Jo aag lagi dil main, woh sard na ho jaye,
Bhujte huye sholo’n ko bharrkaa ke chale jana,
Ujrri nazar ati hai jazbaar ki haryaali,
Tum us pe koi baadal barsaa ke chale jana,
Furqat ki aziyaat mein, kuch sabar bhi laazim hai,
Yeh baat mere dil ko samjhaa ke chale jana,
Shayed ke behel jaye, deewana Qateel Is se,
Tum koi neya vaada farmaa ke chale jana..




Qateel Shifai Poetry

Keh rahi hai mere jazbaat ki jhankaar tujhe,
Kar sake ga na koi meri tarah pyaar tujhe,
Raqss karti hai tere khoon mein meri khushbu,
Kya lubhaaye gi kisi phool ki mehkaar tujhe,
Woh baddan aik hi mar’mar se taraashey jis ne,
Main ne paaya usi fankaar ka shaahkar tujhe,
Shayed ab chup na sake raaz-e-mohabbat mera,
Main ne chup reh ke sadaa di hai kayi baar tujhe..




Qateel Shifai Poetry

Har Be-Zabaa.n Ko Shola-e-Nawaa Keh Lia Karo
Yaaro Sakoot Hee Ko Sadaa Keh Lia Karo
Khud Ko Faraib Do Ke Na Ho Talkh-e-Zindagi
Har Sangdil Ko Jaan-e-Wafaa Keh Lia Karo
Gar Chaahtay Ho Khush Rahain Kuch Bandagaan-e-Khaas
Jitnay Sanam Hain Un Ko Khuda Keh Lia Karo
Insaan Ka Agar Qad-o-Qaamat Na Barh Sakay
Tum Osko Nuqs-e-Aab-o-Hawa Keh Lia Karo
Apnay Lye Ab Ek Hee Raah-e-Nijaat Hai
Har Zulm Ko Razaa-e-Khuda Keh Lia Karo
Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-e-Ziyaa “Qateel”
Jab Dil Jalay Tou Os Ko Dia Keh Lia Karo




Qateel Shifai Poetry

Jub Tasawwur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhuu Aaye
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbuu Aaye
Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehluu Aaye
Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataaya Mujh Ko
Meri Jaanib Tere Phailay Howay Bazoo Aaye
Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnuu Aaye
Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye
Os Ke Lehjay Ka Asar Tou Hai Badi Baat “Qateel”
Wo Tou Aankhon Se Bhi Karta Howa Jadoo Aaye


Qateel Shifai Poetry

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum
Ek Doosre Ki Yaad MeiN Roya Karenge Hum
aaNsoo Chalak Chalak Ke Sataayenge Raath Bhar
Moti Palak Palak MeiN Piroyaa Karenge Hum
Jab DooriyoN Ki Yaad DiloN Ko Jalaayegi
JismoN Ko Chaandni MeiN Bhigoya Karenge Hum
Ban Kar Ik Bazm Ka Mauzu-e-Guftugu
Jismon Ko Chaandni Mein Bhigoya Karain Ge Hum
Majbooriyon Ke Zeher Se Karlain Ge Khudkushi
Ye Buzdili Ka Jurm Bhee Goya Karain Ge Hum
Dil Jal Raha Hai Zard Shajar Dekh Dekh Kar
Ab Chaahaton Ke Beej Na Boya Karain Ge Hum
Gar De Gaya Daga HameN Toofan Bhi ‘Qateel’
Sahil Pe KashtiyoN Ko Dooboya Karenge Hum




Qateel Shifai Poetry

Wo Dil Hee Kia Tere Milnay Ki Jo Dua Na Karay
Mein Tujh Ko Bhool Ke Zinda Rahuun Khuda Na Karay
Rahay Ga SaathTera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat, Meri Zindagi Wafa Na Karay
Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judaai Mein
Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Judaa Na Karay
Suna Hai Osko Mohabbat Duaaein Deti Hai
Jo Dil Pe Chot Tou Khaaye Magar Gila Na Karay
Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyaar Ka Chaand
Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Karay
Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai
“Qateel” Jaan Se Jaaye Per iLtijaa Na Karay

No comments:

Post a Comment