Sunday 10 February 2013

Usay dekh k pulkain utha na saky

                       Usay dekh k pulkain utha na saky
hum apnay ansououn ko samjha na saky
us k sung betana chahty thy tamam umer
bus yehi bat apnay naseeb ko samjha na saky
zîndagi main bus aik hi to khwahish thi humari
usay bhi apna sub kuch luta ker pa na saky
jisay aitbar tha hum p khud sy kahin berh ker
usay bhi hum apni sachai ka yakin dila na saky
na janY kitni sadian beit gayi jagty jagty
hum phr bhi apny ghamoun ko sula na saky
 meray maula sada khush rakhna usay
woh bin jis k hum kabhi muskra na saky
usay khoonay k bad jany kyn aisa lagta hy
k hum zindagi main kuch bhi to na pa saky
 itnay thuk chukay hain ub to zindagi sy hum
k zindagi ko bhi zinda bana na saky
us ny phr kbhi mur ker hamara hal tk na pocha 

woh jis ka harf harf hum bhula na saky
na janay kitni duain mangi hum ny us ko pany ki
per apnay naseeb ko hum jhutla na saky
log kehtay hain usay bhula  kyn ni daity ho sahill
jis k sung beta aik pul bhi hum bhula na saky
written by sahill baloch

No comments:

Post a Comment