Sunday 10 February 2013

Meena Kumari

Andhi main diya kis ne jalaya hoga

Meena Kumari Poetry

ablapa koi is dasht main aya hoga
warna andhi main diya kis ne jalaya hoga
zarre zarre pe jare honge kunware sajde
ek ek but ko Khuda us ne banaya hoga
pyas jalte huye kanton ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga
mil gaya hoga agar koi sunahari patthar
apna tuta hua dil yad to aya hoga
khun k chinte kahin poch na len rehron se
kis ne wirane ko gulzar banaya hoga

No comments:

Post a Comment