Sunday 10 February 2013

habib jalib

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye..

Habib Jalib Poetry

Kahin aah ban ke lab per tera naam aa na jaye,
Tujhe bewafa kahoon mein, woh maqaam aa na jaye,
Jisey sun ke toot jaye mera aarzu bhara dil,
Teri anjuman se mujh ko woh peyaam aa na jaye,
Woh jo manzilon per laa kar kisi hamsafar ko lootain,
Unhi rehzanon mein tera kahin naam aa na jaye,
Isi fikr mein hain ghalat yeh nizaam ke bandey,
Jo tamaam zindagi hai woh nizaam aa na jaye..



Yeh aur baat teri gali main na ayen hum..

Habib Jalib Poetry

Yeh aur baat teri gali main na ayen hum,
Lekin yeh kya ke tera sheher chorr jayen hum,
Muddat huyi hai kuye bataan ki taraf gaye,
Awaargi se dil ko kahan tak bachaayen hum,
Be’noor ho chuki hai bohat sheher ki fizaa,
Tareek raston par kahin kho na jayen hum,
Us ke baghair aaj bohat jee udaas hai,
Jaalib chalo kahin se usey dhoond ke layen hum..



Gulistanon pe hi naheen moqoof

Habib Jalib Poetry

Gulistanon pe hi naheen moqoof,
Junglon me bhi phool khilte hain..



Tujhe bhi hai zamaney se shikayat..

Habib Jalib Poetry

Yeh kya ke tujhe bhi hai zamaney se shikayat,
Yeh kya ke teri aankh bhi pur’num hai meri jaan..

No comments:

Post a Comment