Sunday 10 February 2013

Noshi Gillani

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga

Noshi Gilani Poetry

Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga



Bohat Aaraam Karna Chahti Hun

Noshi Gilani Poetry

Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun



Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr par..

Noshi Gilani Poetry

Yeh hum hi jantey hain judaai ke morr par,
Iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua..



Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay

Noshi Gilani Poetry

Shaam Ko Sogwaar Kartay Rahay
Ham Tera Intezaar Kartay Rahay
TU Tou Kaar-e-Jahan Mein Tha Masroof
Aur Hum Tujh Se Pyaar Kartay Rahay
Kis Lye Vasl Ki Kahani Mein
Hijr Ko Hissaydaar Kartay Rahay
Dil Ko Bas Mubtala-e-Gham Rakha
Wehshaton Ka Shumaar Kartay Rahay



Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain

Noshi Gilani Poetry

Ek Shab-e-Mehtaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ham Kiun Apnay Aap Se Bhaagtay Phirtay Hain
Pyaas Ki Shiddat Honton Ki Taqdeer Howi
Aur Ham Qatraa-e-Aab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Shaam Dhalay Saari Choupaalain Sajti Hain
Ham Apnay Ehbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Khushbuu Ki Tehreer Badan Per Likhi Hai
Aur Safaid Gulaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Ik Kitaab Lye Phirtay Hain Haathon Mein
Aur Zar-o-Asbaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Unhain Kisi Taabeer Ki Khwaahish Kia Hogi ?
Loog Jo Arsaa-e-Khwaab Se Bhaagtay Phirtay Hain
Aankhon Mein Be-Taab Samandar Hai Phir Bhi
Jaanay Kis Gardaab Se Bhaagtay Phirtay Hain



Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi

Noshi Gilani Poetry

Meri Aankhon Ko Soojhta Hee Nahi
Ya Muqaddar Mein Raasta Hee Nahi
Wo Bharay Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta Hee Nahi
Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla Hee Nahi
Ham Chalay Os Ki Bazm Se Uth Kar
Aur Wo Hai Ke Rokta Hee Nahi
Dil Jo Ek Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hee Nahi
Mein Tou Os Ki Talaash Mein Guum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhoondta Hee Nahi



Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay

Noshi Gilani Poetry

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay
Sab Iraaday Sambhaal Kar Rakhay
Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay
Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay
Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay
Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay
Jab Hawaa Ka Mizaaj Barham Tha
Ham Ne Pat’tay Sambhaal Kar Rakhay
Aarzoo Ke Haseen Pinjray Mein
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay
Ham Ne Dil Ki Kitaab Mein Tere
Saaray Waaday Sambhaal Kar Rakhay
Tere Dukh Ke Tamaam Hee Mausam
Ay Zamaanay Sambhaal Kar Rakhay
Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay



Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai

Noshi Gilani Poetry

Umer Raaigaa.n Kardi Tab Ye Baat Maani Hai
Mout Aur Mohabbat Ki Ek Hee Kahani Hai
Khail Jo Bhi Tha Jaana.n Ab Hisaab Kia Karna
Jeet Jis Kisi Ho Ham Ne Haar Maani Hai
Vasl Per Bhee Naadim Thay Hijr Per Bhi Sharmindah
Wo Bhi Raaigaani Thi Ye Bhi Raaigaani Hai
Ye Mera Hunar Teri Khusbuoun Se Waabasta
Mere Saaray Lafzon Per Teri Hukmarani Hai
Jaanay Kon Shehzaadah Kab Chura Ke Le Jaaye
Wo Jo Apne Aangan Mein Khusbuoun Ki Rani Hai



Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se

Noshi Gilani Poetry

Khauf Ki Shab Mein Hont Seenay Se
Marna Behtar Hai Aisay Jeenay Se
Kuch Tou Qaayim Rahay Anaa Ka Bharam
Dekhna Hai Ose Qareenay Se
Yun Tamasha Tou Osko Hona Tha
Jo Ghiri Aarzoo Ke Zeenay Se
Kuch Hawaaon Ka Aitbaar Nahi
Warna Kia Khauf Os Safeenay Se
Dil Ka Ab Talkhion Se Naata Hai
Lutf Laita Hai Zeher Peenay Se



Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai

Noshi Gilani Poetry

Lahoo Tak Aankh Se Ab Beh Lia Hai
Bohat Tha Jabar Laikin Seh Lia Hai
Azaab-e-Hijr Ab Waapas Palat Jaa
Bohat Din Saath Mere Reh Lia
Nami Aankhon Se Jaati Hee Nahi Hai
Sitam Is Dil Ne Itna Seh Lia Hai
Tujhe Kehna Tha Jo Ehwaal Dil Ka
Dar-o-Deewaar Se Hee Keh Lia Hai



Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi

Noshi Gilani Poetry

Hai Mohabbat Azaab, Barbaadi
Dil Ko Ye Baat Kis Ne Samjha Di ?
Be-Wafai Ne Khaak Kar Daali
Chaahaton Ki Hari Bhari Daali
Ik Shab Vasl Ki Guzaarish Thi
Os Ne Tasveer Apni Bhijvadi
Tere Gham Ki Jazeerah-e-Dil Mein
Phailti Jaa Rahi Hai Aabaadi
Kis Qadar Baanjh Hoti Jaati Hai
Takht-e-Ikhlaas Teri Shehzaadi
Waqt Zaalim Tha Meri Har Khwaahish
Os Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di



Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam

Noshi Gilani Poetry

Kaisay Aaye Ga Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam ?
Qismaton Mein Jab Likha Hai Zawaal Ka Mausam
Kis Ne Khail Khaila Hai Kis Ne Hijr Jhaila Hai
Ab Guzar Gaya Jaanan Is Sawaal Ka Mausam
Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shaakh Per Khiltay
Mein Ke Hijr Ka Lamha, TU Visaal Ka Mausam
Dil Ke Ab Tou Sehra Hai Aur Aisay Sehra Mein
Jaanay Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Mausam
Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Rehguzaaron Per
Tere Lams Ka, Tere Khad-o-Khaal Ka Mausam
Hum Kubhi Tou Dekhain Ge Wehshaton Ke Sehra Mein
Ay Khuda Mohabbat Ke Aitedaal Ka Mausam



Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain..

Noshi Gilani Poetry

Zamaney walon se chup ke roney ke din nahin hain,
Usey kehna yeh udaas honey ke din nahin hain,
Main jaan sakti hoon vasl mein asal bhaid kya hai,
Magar haqeeqat shanaas honey ke din nahin hain,
Hamara khud se makaalma* bhi neya neya hai,
Kisi badamn ka libaas honey ke din nahin hain,
Abhi to aankhon mein aanusyon ki nami hai baqi,
Zameen-e-dil par pyaas boney ke din nahin hain..
(makaalma;conversation)



Aalim-e-mohabbat mein, Ik kamaal wehshat mein..

Noshi Gilani Poetry

Aalim-e-mohabbat mein,
Ik kamaal wehshat mein,
Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai,
Titliyaan pakarney ko,
Door jana parta hai..



Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai..

Noshi Gilani Poetry

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai,
Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai,
Kisi ka lamss hai jis ke hunnar se,
Mukammal sab ibaadat ho gayi hai,
Koi din ke liye deewangi bhi,
Mere dil ko ghaneemat ho gayi hai,
Bohat behaal rehte they magar ab,
Humain hijrat ki aadat ho gayi hai,
Gulaab asaar rastey muntazir hai,
Ke mausam ki inaayat ho gayi hai,
Zameen se aasman tak roshni hai,
Meherbaan hum pe fitrat* ho gayi hai..
(fitrat;nature)

No comments:

Post a Comment