Monday, 18 March 2013

Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyo'n Na Garq-e-Dariya


tu dost kisi ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm k mujh par na hua tha

chora mah-e-nakhshab ki tarah dast-e-qaza ne
khurshid hanoz us k barabar na hua tha

taufiq ba andaz-e-himmat hai azal se
ankhon main hai wo qatra k gauhar na hua tha

jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka alam
main motaqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha

main sada dil azurdagi-e-yar se khush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha

dariya-e-maasi tunuk abhi se hua khushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha

jari thi asad dag-e-jigar se mere tahsil
atashqada jagir-e-samandar na hua tha
 
 
 
 
Nazar Lage Na Kahin Uske Dast-O-Baazuu Ko
Ye Log Kyun Mere Zakhm-E-Jigar Ko Dekhte Hain
 
 
 
 
Tangiye dil ka gila kya yeh woh kafir dil hai
K agar tang na hota to pareshan hota
 
 
 
 
Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho
 
 
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
 
Naadan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyuun Jiite Ho Ghalib....
Qismat Mein Hai Marne Ki Tamanna Koii Din Aur...!
 
 
Daad Deta Hai Mere Zakhm-e Jigar ki Waah Waah
Yaad Karta Hai Mujhe Dekhe Hai Wo Jis Jaa Namak
 
 
Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.

Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim!
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.
 
 
 
Ghair phirta hai liye yoon tere khat ko k agar
Koee poche k yeh kya hai? to chupaaye na bane

Ishaq per zoor nahi, hai ye wo aatish "Ghalib"
K laagaye na lage aur bujhaaye na bane
 
 
 
Hue Mar Ke Ham Jo Ruswa, Hue Kyo'n Na Garq-e-Dariya
Naa Kabhi Janaza Uthta, Naa Kahi'n Mazar Hota
 
 
 
 
 
 
 
   
   
    
              

No comments:

Post a Comment