Sunday, 10 February 2013

Fakhira Batool

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay

Fakhira Batool Poetry

Zakham Kia Kia Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay
Aap Ko Mil Gaye Hain Qismat Se
Ham Zamanay Mein Kab Kisi Ko Milay ?
Aisay Khushbu Se Mil Raha Hai Gulaab
Jis Tarah Raat, Roshni Se Milay
Ham Faqeeron Se Dosti Hai Magar
Os Se Kehna Ke Saadgi Se Milay
Dil Mein Rakhtay Hain Ehtyaat Se Ham
Zakham Jo Jo Bhee Jis Kisi Se Milay
Zindagi Se Galay Milay Tou Lagaa
Ajnabi Jaisay Ajnabi Se Milay
Os Ke Seenay Mein Dil Nahee Tha “Batool”
Ham Ne Socha Tha Aadmi Se Milay



Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin..

Fakhira Batool Poetry

Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin..



Socha hota khawb dikhaney se pehle..

Fakhira Batool Poetry

Socha hota khawb dikhaney se pehle,
Aur kisi ko apna bananey se pehle,
Kuch pal us ko neend mein ghaur se dekho to,
Dheerey dheerey us ko jaganey se pehle,
Soch lo is mein koi qeemti shey hi na ho,
Dil ke sheher ko aag laganey se pehle,
Dekha, to sab tan man raakh ka dhair hua,
Apne dono hath bachaney se pehle,
Socha, rab se us ko maang ke dekhoon to,
Sar sajdey se aaj uthaney se pehle,
Ab pachtaney se bhi kya haasil ho ga,
Socha hota aankh milaney se pehle,
Aao aakhri baar karain hum yaad usey,
Sach much us ko aaj bhulaney se pehle..



Bhool janey ka to bas ik bahana hoga..

Fakhira Batool Poetry

Bhool janey ka to bas ik bahana hoga,
Ke har taur usey yaad to aana hoga,
Koi mausam ho, mehekta rahe, shadaab rahe,
Apni aankhon ko kanwal aesa banana hoga,
Band muthi se jo urr jati hai qismat ki pari,
Iss hatheli main koi chaid* purana hoga,
Aabley* paaon ke mehkain to magar dard na dain,
Dasht mein raat ke daron ko yeh batana hoga,
Zaawiye* us ki nigahon ke barey qaatil hain,
Samne us ke bohat soch ke jana hoga,
Ghaoo* kitna bhi puraana ho, beher’haal usey,
Kachey mausam ki shararat se bachana hoga,
Hath likhne pe mussar, khauf zamaney ka Batool,
Pairr* pe naam koi likh ke mitaana hoga..
(chaid;hole, aabley;skin burn, zaawiye;angles, ghaao;injury, pairr;tree)



Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo..

Fakhira Batool Poetry

Meri chahat ka sar-e-aam* to charcha na karo,
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,
Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar,
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,
Bhaamp* jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa,
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,
Baat choti si bhi afsaana bana deti hai,
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,
Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe,
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,
Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain,
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,
Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool,
Yu’n sar-e-bazm* to is se yeh taqaaza na karo..
(sar-e-aam;publicly, bhaamp;to have a clue, sar-e-bazm;in a gathering)



Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai

Fakhira Batool Poetry

Hai Haqeeqat, Gumaan Thori Hai
Ye Siyaasi Bayaan Thori Hai
Dar Sa Lagta Hai Kiun Nateejay Se
Ishq Hai Imtehaan Thori Hai
Chhorr Kar Chal Dya Hamain Yun Hee
Wo Koi Badgumaan Thori Hai
Teer Ki Ja Gulaab Kiun Na Milain
Zindagi Hai Kamaan Thori Hai
Koi Shikwah Karain Tou Kaisay Karain
Apne Mun Mein Zabaan Thori Hai
Ham Ko Takta Hai Jis Haqaarat Se
TU Koi Aasmaan Thori Hai
Hum Se Milnay Ko Chal Ke Aaye Magar
Is Qadar Meherbaan Thori Hai
Koi Basnay Laga Hai Is Mein “ Batool”
Dil Hai, Khaali Makaan Thori Hai

No comments:

Post a Comment