Mjhy meri watun ki mati sy
meray hi lahoo ki khushbo ati hy
ub to meray watun ki sahiloun sy
khoon ki lehrain hi takrati hain
chaman ko ujar diya hy us k pasbanoun ny
her udas kali kay dil sy yehi aik sada ati hy
her khabar yahan dehshat aur khauf lati hy
ub to khusyoun ki koi naveed hi nhi ati hy
sahill tayar hy in zulm ki lehroun sy takrany ko
kea her nojavan k dil sy yehi sada ati hy?
Ub to bad e saba bhi is chamun mai bht kum ati hy
jub ati hy to is k ujarnay ka matum zaror manati hy
her koi yahan jakra hua hy firkoun ki zanjiroun mai
her taraf yahan siskyoun aur cheekhoun ki sada ati hy
teri man ko laut rha hy her dajal behriya bun ker
kea kbhi tjhy us ki siskyoun ki sada nhi ati hy?
uth ay nojvan muslim tariq ka jazba ly ker
teri man na jany kub sy tujhy bulati hY
najany kis ki nazar lug gayi hum ko sahill
nhi to ghayrat to humain bhi buhut ati hy
written by sahill baloch
No comments:
Post a Comment