Sunday, 10 February 2013

kishwar naheed

Beemar hain tou ab

Kishwar Naheed Poetry

bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye
bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye
har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye
wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye
jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye
sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye
gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye
?Naheed? faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye

No comments:

Post a Comment