Sunday, 10 February 2013

Jon Elia

Kaafi hai ke hum dushman nahin hain..

Jon Elia Poetry

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava* kyon karain hum..
(daava;claim)



Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din

Jon Elia Poetry

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din



Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main..

Jon Elia Poetry

Tujh se gilay karoon tujhe janaa’n manaaon main,
Ik bar apne aap mein aaon to aaon main,
Dil se sitam ki be’saro kaari hawaa ko hai,
Woh gard urraa rahi hai ke khud ko ganwaaon main,
Naadim hoon woh ke jis pe nadaamat bhi ab nahin,
Woh kaam hain ke apni judai kamaaon main,
Kyon’kar ho apne khawab ki aankhon mein wapsi,
Kis taur apne dil ke zamamon mein jaaon main,
Ik rang si kamaa’n ho khushbu sa ik teer,
Marham si ik wardaat ho aur zakham khaon main,
Shikwa sa aik dareecha ho, nasha sa ik sakoot,
Ho shaam aik sharab si aur larr’khraon main,
Phir is gali se apna guzar chahta hai dil,
Ab is gali ko kaunsi basti se laaon main..



Jab muqaabil hon ishq aur daulat

Jon Elia Poetry

Kaun sood-o-ziyaa’n ki duniya mein,
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,
Jab muqaabil hon ishq aur daulat,
Husnn daulat ka saath deta hai..
(sood-o-ziyaan;profit)



Teri Yaadon Ke Raastay Ki Taraf

Jon Elia Poetry

Teri Yaadon Ke Raastay Ki Taraf
Ik Qadam Bhee Nahee Barhuun Ga Mein
Dil Tadapta Hai Tere Khat Parh Kar
Ab Tere Khat Nahee Parhuun Ga Mein



Yun to apne qasidaan-e-dil ke paas

Jon Elia Poetry

Yun to apne qasidaan-e-dil ke paas,
Jane kis kis ke liye peghaam hain,
Jo likhe jaate rahe aur’on ke naam,
Mere woh khat bhi tumhare naam hain..



Nashaa-e-Naaz Ne Be-Haal Kia Hai Tum Ko

Jon Elia Poetry

Nashaa-e-Naaz Ne Be-Haal Kia Hai Tum Ko
Apne Hee Zor Mein Kamzor Hoi Jaati Ho
Mein Koi Aag Nahee, Aach Nahee, Dhoop Nahee
Kiun Paseenay Mein Sharaabor Hoi Jaati Ho ?



Zakham-e Umeed Bhar Gaya Kab Ka

Jon Elia Poetry

Zakham-e Umeed Bhar Gaya Kab Ka,
Qais Tou Apne Ghar Gaya Kab Ka.
Ab Tou Mu Apna Mat Dikhaao Mujhe,
Naa-siho Main Sudhar Gaya Kab Ka.
Aap Ab Poochne Ko Aaye Hain,
Dil Meri Jaan Mar Gaya Kab Ka.
Aap Ik Aur Neend Le Lijiye,
Kaafila Kooch Kar Gaya Kab Ka.
Mera Fehrist Se Nikaal Do Naam,
Main Tou Khud Se Mukar Gaya Kab Ka.



Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta..

Jon Elia Poetry

Nazar heraan, dil veeran, mera jee nahin lagta,
Bichar ke tum se meri jaan, mera jee nahin lagta,
Koi bhi to nahin hai jo, pukare raah main mujh ko,
Hoon mein be-naam ik insaan, mera jee nahin lagta,
Hai aik inbwa qadmon ka rawaa’n in shahrahon per,
Nahin meri koi pehchaan, mera jee nahin lagta,
Jahan milte they hum tum aur jahan mil kar bicharte they,
Na woh dar hai, na woh dalaa’n, mera jee nahin lagta,
Hon pehchane huye chehre to jee ko aas rehti hai,
Hon chehre hijar ke anjaan, mera jee nahin lagta,
Yeh saara sheher ik dasht-e-hajoom be-niazi hai,
Yahan ka shor hai veeraan, mera jee nahin lagta,
Woh aalam hai ke jese mein koi hum’naam hoon apna,
Na hir’maan hai na woh darmaan, mera jee nahin lagta,
Kahin sar hai kahin sauda, kahin wehshat kahin sehra,
Kahin main hoon, kahin samaan, mera jee nahin lagta,
Mere hi sheher mein, mere mohahalley mein, mere ghar mein,
Bula lo tum mehmaan, mera jee nahin lagta
Main tum ko bhool jaon, bhoolne ka dukh na bhoolon ga,
Nahin hai khail yeh asaaan, mera jee nahin lagta,
Koi paimaa’n pura ho nahin sakta magar phir bhi,
Karo taaza koi paimaa’n, mera jee nahin lagta,
Kuch aesa hai ke jese mein yahan hoon aik zindgani,
Hain saare log zindaa’n baan’n, mera jee nahin lagta..



Dil Tha Darham Aur Barham Raaigaan

Jon Elia Poetry

Dil Tha Darham Aur Barham Raaigaan
Thay Tumhaari Zulf Ke Kham Raaigaan
Apni Saari Aarzooain Theen Faraib
Apnay Khwaabon Ka Tha Aalam Raaigaan
“Jhon” Shayad Kuch Nahee Kuch Bhi Nahee
Hai Dawaam Ik Weham Aur Dam Raaigaan
Zindagi Bas Raaigaani Hee Tou Hai
Mein Bohat Khush Hun Ke Thay Ham Raaigaan
Ham Rasaa Aur Naarsaa Kuch Bhee Nahee Thay
Yaani “Jhon” Aur Fahiya Kuch Bhee Na Thay



Kub Os Ka Visaal Chahye Tha

Jon Elia Poetry

Kub Os Ka Visaal Chahye Tha ?????
Bas Ik Khayaal Chahye Tha…………..
Kub Dil Ko Jawab Se Garz Thee ???
Honton Ko Sawaal Chahye Tha…….
Ek Chehra Saada Tha Jo Ham Ko….
Be Masl-o-Misaal Chahye Tha……..
Ik Qarb Mein Zaat-o-Zindagi Hain..
Mumkin Ko Muhaal Chahye Tha…..
Mein Kia Hun Bas Ik Malaal-e-Maazi
Os Shaks Ko Haal Chahye Tha…………
Hum Tum Jo Bichar Gaye Hain Hum Ko
Kuch Din Tou Malaal Chahye Tha………!



Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey

Jon Elia Poetry

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen
Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta



Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad

Jon Elia Poetry

Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad
Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad
Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar
Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad
Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa
Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad
Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay
In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad
Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ????
Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad



Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum

Jon Elia Poetry

Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Baar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein
Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein
Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein



Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi

Jon Elia Poetry

Shaayad Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahi Howi
Laikin Yaqeen Sab Ko Dilaata Raha Hun Mein
Ik Husn-e-Bemisaal Ki Tamseel Ke Lye
Parchaayion Pe Rung GIraata Raha Hun Mein
Apna Misaalya Mujhe Ab Tak Na Mil Saka
Zarron Ko Aaftaab Banaata Raha Hun Mein
Kia Mil Gaya Zameer Hunar Baich Kar ?
Itna Ke Sirf Kaam Chalaata Raha Hun Mein
Kal Dophair Ajeeb Si Ek Be-Dili Rahee
Bas Titliaan Jalaa Ke Bujhaata Raha Hun Mein

No comments:

Post a Comment