Sunday, 10 February 2013

Saghir Siddiqui

Hum ghareeb ki surat pe na ja..

Saghir Siddiqui

Hum ghareeb ki surat pe na ja,
Hidmat-e-aadmi ke mujrim hain..



Teri nazar ka rang bahanon ne le liya

Saghir Siddiqui

Teri nazar ka rang bahanon ne le liya,
Afsurdgi ka roop taraano’n ne le liya,
Jin ko bhari bahaar mein ghunchay na keh sake,
Woh waaqeyaa bhi mere fasaanon ne liya,
Shayed milay ga qaryaa mehtaab mein sakoon,
Ehl-e-fard ko aese gumaano’n ne le liya,
Yazwaa’n se bacha raha tha jalalat ka ek lafz,
Us ko haram ke shokh beyaano’n ne le liya,
Teri adaa se ho na saka jis ka faisla,
Woh zindagi ka raaz fashaano’n ne le liya,
Afsaana hayaat ki takmeel ho gayi,
Apno’n ne le liya ke begaano’n ne liya,
Bholi nahin woh qos-e-qazaah ki si surtain,
Saghir tumhain to mast dheyaano’n ne le liya..



Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke

Saghir Siddiqui

Yaad aa ke reh gaye hain zamane wafaon ke,
Sholay jala ke chal diye jhonkay wafaon ke,
Har ik qadam par talkhii doraa’n ki dhoop thi,
They hum bhi us gali mein talabgar chaaon ke,
Karte rahe jo chand sitaaron ki rehbri,
Kuch log muntazir hain unhi rehnumaaon ke,
Har zehen mein parre hain teri zulf ke bhanwar,
Har dil ki sarzamee’n mein nishaan tere paaon ke,
Be’chaargi zeest ka daaman na bhar saka,
Hum ne lutaa diye hain khazaney dua’on ke,
Tajdeed-e-zoq Saghir-o-meena ki baat kar,
Badle huye rang-e-chaman ki fizaaon ke..



Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai

Saghir Siddiqui

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai



Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai

Saghir Siddiqui

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai
Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai
Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai
Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai
Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai
Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai
Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan Sagar
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai



Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai

Saghir Siddiqui

Dukh Dard Ki Soghaat Hai Duniya Teri Kya hai
Ashkon Bhari Barsaat Hai Duniya Teri Kya hai
Kuch log Yahan Noor-e-Seher Dhoond Rahe Hain
Tareek Si Eik Raat Hai Duniya Teri Kya hai
Taqdir Key Chehrey Ki Shikan Dekh Raha Hon
Aayiena e Halaat Hai Dunya Teri Kya hai
Paband e Mashiyet Hai Tanafas Bhi Nazar Bhi
Eik Juzia-e-Lamhaat Hai Duniya Teri Kya hai
Majrooh Hai Taqadas , Taqadas Ki Haqiqat
Roodaad e Kharabaat Hai Duniya Teri Kya hai
“Saghar” Mein Chalaktey Hain Samavaat Key Asraar
Saaqi Ki Karamaat Hai Duniya Teri Kya hai



Chand murjhayi huyi kaliyan

Saghir Siddiqui

Utha kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan,
Na tum aye tou yoon jashn-e-baharan karliya mene..

No comments:

Post a Comment