Sunday, 10 February 2013

hafiz hoshiarpuri

Hafeez Hoshiarpuri Poetry

aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye
ek hi lamhe mein jaise umr bhar dekha kiye
dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi
jis qadar thi ham ko taufiq-e-nazar dekha kiye
khudfaroshana ada thi meri surat dekhna
apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye
nashanas-e-gam faqat dad-e-hunar dete rahe
ham mata-e-gam ko ruswa-e-hunar dekha kiye
dekhne ka ab ye alam hai koi ho ya na ho
ham jidhar dekha kiye pehron udhar dekha kiye
husn ko dekha hai main ne husn ki khatir ?Hafeez?
warna sab apna hi mear-e-nazar dekha kiye

No comments:

Post a Comment