Sunday, 10 February 2013

faraz ahmed faraz

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se,
Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..



Ab tasleem karlen tu nahin to main sahi..

Ahmad Faraz Poetry

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..



Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Ahmad Faraz Poetry

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia



“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi

Ahmad Faraz Poetry

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi



Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki

Ahmad Faraz Poetry

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki



Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath

Ahmad Faraz Poetry

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath



Kshti ko saahil pe uchaal doon ga..

Ahmad Faraz Poetry

Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga,
Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..



Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain..

Ahmad Faraz Poetry

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..
(raghbat;attraction)



Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Ahmad Faraz Poetry

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili



Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon

Ahmad Faraz Poetry

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?



Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere

Ahmad Faraz Poetry

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere



Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey..

Ahmad Faraz Poetry

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)



Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha..

Ahmad Faraz Poetry

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha,
Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai,
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha,
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log to poochain,
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha,
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha..
(rag-o-pey;inside the soul, taaqub;chase, anjuman-e-araa;happy)



Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

Ahmad Faraz Poetry

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe



Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay

Ahmad Faraz Poetry

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

No comments:

Post a Comment