Teri galyoun main ub jub kabhi bhi atay hain hum
aik ajab sakoon paty hain aj bhi hum
janty hain k bhula diya hý tu ny humain
phir bhi jany kia soch k aty hain hum
wohi naksha hy wohi mahool hy aj bhi
bus aik main aur tum nhi rhy ub hum
shayd aj bhi rehta ho ga un ko intazar humara
na jany kyun aj bhi rehty hain isi khush fehmi main hum
aik yeh dil hy jo rehta hy aj bhi sog main
mut pocho in zard hontoun p kaisy jhooti muskrht sjaty hain hum
sub kuch muyasir hy zindagi main na jany kyun phir bhi
aik ajab sa sanata zindagi main paty hain hum
hunstay hunstay hi rona shuro ho jaty hain hum
jub apni khushyoun main tum ko nhi paty hain hum
buhut udass guzarty hain mah o sal humaray
mut pochoo k kaisay in ansoun ko samjhaty hain hum
tamam rat kut jati hy tumhain sochty huy
yehi sochty hain k kea kbhi tum ko bhi yad aty hain hum?
Kyun itna sochty rehty hain tum ko?
Yehi bat rooz khud ko samjhaty hain hum
is zindgi main bhut si khushyan hain
magar na jany phir khush kyn nhi reh paty hain hum
dil aksar pochta hy buhut sy saval hum sy
na jany kyun koi bhi javab nhi dy paty hain hum
tum to khush reh laity ho gy shayd
kea kbhi socha hy k kaisy ji paty hain hum
kea kabhi samundur bhi apny sahill say maun morta hy?
Bus yehi aik saval tum sy pochna chahty hain hum
jub tmhari yad ati hy to mut pocho kia guzarti hy
na jany kaisy in ansoun ko rook paty hain hum
bus tumhary zulm k badly main itna hi kahin gy
k is zindagi main bhi maut jaisa azab paty hain hum
is ishk lahasil main jo jo bhi hum p beti jana
apni in ghazlooun main sub ko sunatay hain hum
mut pocho k kaisy sahill ko wapus dhoond laty hain
jub bhi ashkoun k samandar main dob jaty hain hum
tumhary sung kia her wada aj bhi yad hy humain
shayd isi liye mer nhi patay hain hum
hamesha k liye bund kyu nhi ho jati yeh ankhain
buhut zyada thuk gay hain ub ay zindagi tjh sy hum
jub sub ny sath chor diya hy to tum bhi chuli kyun nhi jati ho
bus yehi aik baat her pul is nadan zindagi ko samjhaty hain hum
written by Sahill Baloch
No comments:
Post a Comment