Sunday, 29 January 2012

ajnabi shehar kay ajnabi rastay

Ajnabi Shahar kay ajnabi rastay

mairee tanhayee per muskuraty rahay

Mai bohut dair tak yunhi chalta raha

tum bohut dair tak yaad atay rhay

Zahar milta raha Zahar peetay rahay

roz martay rahay roz jeetay rahay

Zindagee bhi hamain azmaatee rahi

aur hum bhi ussay azmatay rahay

Zakham jub bhi koi zayhno dil per laga

zindagee ki taraf ik dareecha khulla

Hum bhi goya kissi saaz kay taar hain

chot khatay rahay muskuratay rahay

Kal kuch aisa hua mai bohut thuk gaya

iss liyea sun kay bhi unsuni kar gaya

kitnee yadon kay bhatkay huey karvan

dil ki zakhmon kay dur khatkhtaty rahay

No comments:

Post a Comment