Sunday, 29 January 2012

Ik roz koi to soche ga Farzanon ki is basti main

Ik roz koi to soche ga
Farzanon ki is basti main
Ik shakhs tha pagal pagal sa
Par batein theek hi kehta tha
Barish ki tarah pur-shor na tha
Darya ki tarah chup rehta tha
Jin se usey pyar bala ka tha
Taaney bhi unhi k sehta tha
Ik roz koi to soche ga

Dunya ne usay kuch bhi na diya
Par us ne jag ko pyar diya
Jaan rote rote kho betha
Dil hanste hanste haar diya
Jo Nazm likhi bharpoor likhi
Jo sher diya Shahkar diya
Kyoon jite ji Dar-gor huwa
Kis chah pe tan man har diya
Tha dushman kon bechare ka
Kis ranj ne us ko maar diya
Ik rooz koi to soche ga

No comments:

Post a Comment