Sunday, 29 January 2012

wafa ruswa nahi kerna

wafa ruswa nahi kerna
suno! aisa nahi kerna
me pehle hi akela ho
mujhe tanha nahi kerna
meri in jheel ankhon ko
kabhi sehra nahi kerna
judai bhi jo aajaye
to dil chota nahi kerna
buhat masrof hon jana
mujhe socha nahi kerna
bharosa bhi zarori hai
magar sab per nahi kerna
muqadar phir muqadar hai
koi dawa nahi kerna
meri takmeel tum se hai
mujhe aadha nahi kerna
jo likha hai wohi ho ga
kabhi shikwa nahi kerna

No comments:

Post a Comment