ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun
ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun
main tere samane ambar laga dun lekin
kaun se rang ka patthar tere kam ayega
surkh patthar, jisy dil kahati hai be-dil duniya
ya vo pattharai hui ankh ka niila patthar
jis main sadiyon ke tahayur ke pare hon dore
kya tujhe ruuh ke patthar ki zarurat hogii
jis pe haq bat bhii patthar ki tarah girati hai
ik woh patthar hai jise kahate hain tahazib-e-safed
us ke marmar main siyah khun jhalak jata hai
ik insaf ka patthar bhii to hota hai magar
hath main tesha-e-zar ho to woh hath ata hai
jitane mayar hain is daur ke sab patthar hain
shair bhii raqs bhii tasviir-o-gina bhii patthar
mere ilham tera zahan-e-rasa bhii patthar
is zamane main har fan ka nishan patthar hai
hath patthar hain tere meri zuban patthar hai
rait se but na bana ai mere achchhe fan_kar
No comments:
Post a Comment