jal raha hun dhoop main woh maanta nahi sar par mery muhabbat ki ridaa taanta nahi
jal raha hun dhoop main woh maanta nahi
sar par mery muhabbat ki ridaa taanta nahi
Jis ghar ki Eent Eent pe likha hai mera naam
is ghar main ab koii mujhe pehchantaa nahi
kya chahataa hun us se meri aarzu hai kya
sabh kuch woh janta hai magar janta nahi
sulii pe charhata hai magar is adaa ke sath
mujrim bhi piyar ka mujhe gardantaa nahi
hoti hai sab ko ishq main sod o ziyan ki aas
meri tarhan to khaak koii bhi chantaa nahi ..
No comments:
Post a Comment