Sunday 29 January 2012

Gum-sum hua, aawaz ka daryaa tha jo ek shakhas Pathar bhi nahi ab woh, sitaraa tha jo ek shakhas

Gum-sum hua, aawaz ka daryaa tha jo ek shakhas
Pathar bhi nahi ab woh, sitaraa tha jo ek shakhas

Shayad woh koyee harf-e-wafaa dhoondh raha tha
Chehron ko baray ghour se parhta tha jo ek shakhas

Sehraa ki tarah dair se pyasa tha woh shayad
Baadal ki tarah toot ke barsa tha jo ek shakhas

Ab aakhri satron mein kahein naam hai us ka
Ehbaab ki fehrist mein pehla tha jo ek shakhas

Mur mur ke usay dekhna chahein meri aankhein
Kuch duur mujhe chorne aya tha jo ek shakhas

Har zehen mein kuch naqsh-e-wafaa chor gaya hai
Kehne ko bhare shaher mein tanha tha jo ek shakhas

1 comment: