Sunday 29 January 2012

ye meri gazalen ye meri nazmain tamam teri hikayatain hain

ye meri gazalen ye meri nazmain tamam teri hikayatain hain
ye tazkirey teri lutf ke hain ye shair teri shikayatain hain
main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ki sathi hain
jo zindagi ke naye safar main tujhe kisi roz yad ayen
to ek ek harf ji uthega, pehan ke anfas ki qabayen
udas tanhayon ke lamhon main nach uthengi ye apasarayen

mujhe tery dard ke alawa bhi aur dukh the, yeh janata hun
hazar ghum thy jo zindagi ki talash main thy, ye janata hun
mujhe khabar hai ky teri anchal main dard ki reet chata hun
magar har ek bar tujh ko chhu kar ye ret rang-e-hina bani hai
ye zakhm gulzar ban gaye hain ye ahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye ag dil ki sada bani hai

aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke nagmain jo kal mere the wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judai main kat gaye roz-o-shab tere hain
wo tera shayar tera mughanni wo jis ki baten ajib si thi
wo jis ke andaz khusro-wana the aur adayen garib si thin
wo jis ke jine ki khwahishen bhi khud us ke apane nasib si thin

na puchh us ka ki wo diwana bahut dinon ka ujar chuka hai
wo kohakan to nahi tha lekin kari chattanon se lad chuka hai
wo thak chuka hai aur us ka tesha usi ky sine main gar chuka hai

1 comment:

  1. Read Best urdu hikayatein
    http://sunehribatain.blogspot.com/search/label/Urdu hikayat

    ReplyDelete