Sunday 29 January 2012

Mujhe darya nahi likhna mujhe sehra nahi likhna Tasalsul se safar main hoon mujhe thehra nahi likhna

Mujhe darya nahi likhna mujhe sehra nahi likhna
Tasalsul se safar main hoon mujhe thehra nahi likhna

Purane rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya waada nahi likhna

Anna se jeet kar usko agar jo main ne khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisaat-e-zindagi ki aakhri sarhad pe khara hoon
Mujhe fatah nahi likhna mujhe mohra nahi likhna

Tumharai aankh main gar main kabhi chup chaap jall joan
Tum apni aankhon main lekin mera sadma nahi likhna

Gawaahi apne dil se lo tumhara dil kya kehta hai
Mujhe jhuta nahi likhna mujhe saccha nahi likhna

Main uski yaad main gum hoon k apne aap main gum hoon
Mujhe mehfil nahi likhna mujhe tanha nahi likhna

Main apnay lafzon se shohrat tumhain de jaonga ik din
Mujhe mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi usko mitaana chaho…na mitte
Mujhe apna samjh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup
Meri aankhain to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na meri kasak us dil main reh jae
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna

No comments:

Post a Comment